Hijaab ka Maksad kia hy?
Hamary culture islam me oraat ko ak chupi hoe cheez ka naam diya gya hy or orat k asal khubsorti us k nichi nigahoon me or us pardy ya chadar k andar hy jis k andar wo apny apko smait laiti hy.
Is pardy ka maksad hargiz orat ko kaid karna ya saza daina nhi hy bal k is me oraat ki flah hy uski apni izzat mahfooz rahti hy or wo shitani nigahoon sy ojhal ho jati hy jis sy usk waldain ka sir ohncha rahta hy or byshak roz e akhrat us baap ka bhai ka ya shohar ka sir shaan sy buland hoga jiski behan betiyan biwiyan pardy jaisy azeem malboos apny badan per taan kar rakhaingi.
Parday ka maksad hy apny jism k khado haal ko chupana ghair mehram ki nigahoon sy shaitani nigahoon sy dour rehna or apny apko alouda hounay sy bachana.
Pardy ka hukam Quraan or hadith main diya gya orat ki bhalai k liya ta k wo secure rahy mehfooz rahy shitanoo sy jahloon ki nazro sy ojhal rahy pardy ka matlab bilkul feshion bhi nhi hy aj kal kia khubsorat abaye pahny jaty hain or khubsorat hijaab lainy k baad chehroon ko kaisy make up sy lad liya jata hy.
is sy pardy ka maksad hijaab ka maksad fout ho jata hy hargiz ghair mehram ki nigahoon sy bachna nhi rah jata bal k unki nigahoon main or tawuja hasil karna ban jata hy lakin ak had tak nangy sir ghar sy bahir nikalny sy to chalo feshion samjh kar he sahi lakin sir to dhaky he jaty hain jism to dhaky he jaty hain.
Ab me un behnoon ki nasihat k liya ak hadees likh rahi hoon or kuch Qurani ayaat ka tarjuma bhi jo k nangy sur begair dopaty ya chadar k mardoon jaisa libaas pahny khulay aam sarkoon main baroub ho kar chalti hain.
"Jab ak orat nangy sir ghar sy bahir nikalti hy to wo apny sath 3 logoon ko azaab me mubtala karti hy apny BAAP ko Bhai ko or apny shohar ko"
(Bukhari Shareef)
Ab ap khud faisla karain kon beti aisa chahti hy k uski apni ak ghalati ki waja sy uska baap musibat main a jaye.
kon behan aisa chahti hy k uski ak ghalati ki waja sy uska bhai musibat main ajaye.
Kon muhabbat karny wali biwi aisa chahti hy k uska shohar uski ak ghalati ki waja sy musibat main a jaye.
kisi beti behan or biwi ka aisa zameer kabhi ye baat gawara nhi kary ga.
Quraan Pak humary liya ak hadayet ki kitaab hy na k sirf sawaab karny k liya jab Quraan main kaha gya hy k "Ortoo jab tum ghar sy bahir nikalo to (chadrain) (Orhni) ya Ghongat Orah liya karo "
Apni nigahain nichi rakho apni chati ko kapry sy dhak liya karo or byshak is parday me he orat ki asal khubsorti hy.
Oraat to kisi bhi haal me badsorat to hy he nhi Orat gori ho ya kali orat to orat he hy or khubsorat he rahti hy apny apko khubsorat dikhany k liya kia wo byparda ho kar apni khubsorti zayda dikha payegi haan khubsorti to dikha payegi lakin uska jism uski roh gard aloud ho jayegi.
Kuch JOB karny wali khawateen ka kahna hy k sharm o haya ankhaon main dil main houni chahye to un k liya ak aham baat likh rahi hoon k Noon Muslims bohat c khawateen ny islam sirf hijaab ko daikhty howay accept kiya or jab Allah Rabul Izzat ny khuli baat likh di hukam dy diya k parda karo ghair mehram ki nigahoon sy bacho to koe insaan ye baat kahny ki jurrat nhi rakhta k sharm o haya ankho main houni chahye tumhari apni nigahoon main sharm o haya hogi lakin har daikhny wali nigah sharm o haya ki paikar ho ye bhi mumkin nhi is liya ye baat kahna k haya ankhoon main dil me hy Allah k farmaan ki munafi karna hy inkaar karna hy.
Myra maksaad is Blog k zrya apni tamam behnoon ko hijaab k liya mutasir karna hy jo byparda hain or nangy sur bahir nikalti hain apna na sahi apny waldain apny bhai apny shohar ka khayal rakhty howay hijaab ki taraf raghib hoon feshion samjh kar he sahi is he me orat ki asal khubsorati or samjhdari hy or orat ka asli zewar hy.
or koe shak nhi byshak baprda khawateen k liya bohat ajar hy or Allah ko pasand hy ye amal ab faisla behnoon ap k hath me hy Allah ko khush karna chahti ho ya dunya ko jisko tumhari koe parwa nhi ya usko jo tumhain 70 Maoon sy zayda pyaar karta hy.
Apny jismoon ki hifazat karo apny apko secure karo bahir nikalo to aisy lapait lo apny apko k ap ki taraf uthny wali nazar sharm sy he jhuk jaye. Allah hum sub ko hadayet dy meri or is blog ko parny waloon ki mushkilaat asaan hoon or Allah ki rehmat ho ameen.
(Note)
Abhi tak main ny Pardy sy mutalik zayda ayaat or ahadees ko nhi rakha jald he mazid pardy sy mutalik tafsilaat or ayaat or ahadees ko shamil karongi. In Sha Allah
No comments:
Post a Comment