Banao singhaar har orat ko pasand hy sajna sanwarna mehnadi lagana achy kapry pahnna baloon ko sanwarna, Zaiwar pahnna ye sub oraat ki fitrat main shamil hy k wo sajna sanwarna chahti hy.
Islam me bhi khawateen ko banao singhaar sy mana nhi kiya hargiz nhi mana kiya gya lakin is banao singhar ki ak limit hy k orat apny apko sanwary to sirf apny liya apny logoon k liya na k ghair mehram or ghair logoon ko dikhany k liya.
Lihaza Orat shadi shuda hy to apny apko sajaye to sirf apny shohar k liya uski awal tarjih uska shohar houna chahye aisa nhi k wo apny shohar sy kahy k please mujhy aisa suit la kar do k sary log mujhy daikhty he rah jayen hargiz nhi.
Jo khawateen apny waldain k sath apny gharoon me hain ghair shadi shuda wo banao singhar karain apny ghar k andar apny ghar ki had main rah kar is tarhaan banao singhaar karain k unko bahir nikalna pary to unk zewar per ghair nigahain na parain or aisa zewar na pahny jin ki khanak sunty he ghair log unki taraf mutawaja hoon.
Quraan Kareem main Irshaad e Bari hy
"Apni Arayesh ko kisi k samny zahir na karain siwaye apny khawand k ya apny walid k ya apny khasar k ya apny larkoon k ya apny khawand k larkoon k ya apny bhaiyoun k ya apny bhatijoon k ya apny bhanjoon k ya apni mail jol ki ortoon k ya ghulamoon k ya aisy nikao chakar k jo shahot waly na hoon ya aisy bachoon k jo ortoon k pardy ki batoon sy matla na hoon (Pardy ki batoon ko na janty hoon ) "
Is ayet main bohat khula or asaan ilfaz main samjhaya gya hy khawateen ko tum kin logoon sy parda zarori nhi hy or jin k samny tumhara banao singhaar ho bhi zahir to koe gunah nhi hy lakin asal hakeekat apny banao singhaar ko apni zeenat or apni sharm gahoon ki hifazat ghair mardoon sy hy or in ghair mardoon main khawateen k chacha zaad bhai mamuun zaad bhai jinhain cousin kaha jata hy k ye hamary cousins hain first cusion 2nd cusion hy to in sy parda bhi lazim hy or in sy apna banao singhaar chupana bhi lazim hy.
Haan un k liya lazim nhi hain jo burhi ho chuki hain jin per parda lazim nhi banta or dil main koe shadi ki ya or khawaishaat nhi hain jab tak dil main is tarhaan ki khawaishat dil main tub tak parda lazim hy.
Oraat k banao singhaar k mutaliq Quraan Kareem main ye bhi kaha gya hy k
"apny pahny howay zewraat ko chupa liya karain" in Quraani ayaat k mutabik banao singhaar k sath orat k parday main bohat khula or saaf byaan kiya gya hy k wo banao singhar karain zewar pahnain lakin uski had me rahain k ghair log na daikh sakain k kon sa zewar pahna hy kis rang ki choriyan pahni hain kis rang ka haar pahna howa hy kis rang k jhumkay pahny howay hain amoman hota to ye hy k larkiyan banao singhar to khub karti hain apni fitrat k mutabik lakin pardy ka khyal rakhy begair.
to un behoon k liya aj ka myra ye topic tha banao singhaar k liya k unko mana nhi kiya jata k banao singhaar na karain lakin bazaroon main is banao singhaar k sath khulay aam na phirain.
Jab hum Muslim khawateen hain Quraan hamary liya hadayet ki kitaab hy jab hum is hadayet ko nhi pakraingy to hum kisi dosry non muslim ko kia kah sakaingy tum ao islam ki taraf agar har muslim oraat pardy main dakhil ho jao puri tarhaan sy koe shak nhi jis tarhaan bohat c Noon Muslim khawateen hijaab ko daikhty howay islaam main dakhil hoe hain is he tarhaan mazid or Non Muslim khawateen islam main shamil hoon gi to hamary liya kitna ajr o sawaab hy.